Mohre - Gravity

Mohre - Gravity

Альбом
Prashna Chinha
Год
2018
Язык
`Swahili`
Длительность
246590

Below is the lyrics of the song Mohre , artist - Gravity with translation

Lyrics " Mohre "

Original text with translation

Mohre

Gravity

Yaha par aakh bhi ladai toh fir aag si ladai

Jala kar raakh karte woh ban jayenge harjayee

Aaj andhere mai hai hone waali saari yeh tabahi

Din mai hum uthaye laashein, mar chuki hai begunahi

Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre

Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre

Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre

Khaule, khaule, fir kyu na khoon yeh khaule?

Mohre, mohre, yeh ban chuke mohre

Hai kitne na jaane sahe dil ke daure

Yeh jeete jaagte bas maange hai mohre

Jaha dikhta paisa, waha ko hi daude yeh

Kaise aise kaise karte sawaal?

Yeh karte gunaah, fir karte gumrah

Mudte-mudte sidhe na jaa saka

Udte-udte niche aa na saka

Tujhe paise ki talaash hai

Tujhe poore karne khwab hai

Mutthi mai karni hai duniya

Par tere raaste na saaf hai

Mohra banne ki hi aas hai

Yehi tera itihaas hai

Kisse tu karta fariyad hai?

Tera na koi bhagwan hai

Tera na koi wajood hai

Tere na koi haalat hai

Mohro se bandha samaj hai toh

Tu uska bhadda mazaak hai

Zinda kyu rehta hai aise jab

Khudpe na ab tujhko naaz hai

Raaz hai, raaz hai, mera bhi aisa jo mai hu chhupata

Mai khud hu ek mohra par tujhe sunata

Hai mere jaise kaafi rehte yaha pe

Aata na kuch, kaafi kehte yaha pe

Sone ke mohro ki kya hai zaroorat?

Mujhe zaroorat hai chain ki neend ki

Fir bhi chahu mujhe mil jaaye paisa

Neeyat meri toh hai banjar zameen si

Mohre, mohre, apne aap ko kho rahe

Khudki aatma tode, apne daag na dho rahe

Apni jaan marode, iss saatve ghode par hai suraj ke saamne hum raakh hai ho rahe

Jeete jaagte saare marte yaha par

Kho chuke khudko ab dhundhe kaha par?

Kaise soye hai yeh kuch bhi na paakar?

Kholo aakhein, bhaago kyuki

Yaha par aakh bhi ladai toh fir aag si ladai

Jala kar raakh karte woh ban jayenge harjayee

Aaj andhere mai hai hone waali saari yeh tabahi

Din mai hum uthaye laashein, mar chuki hai begunahi

Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre

Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre

Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre

Khaule, khaule, fir kyu na khoon yeh khaule?

Mohre, ban chuke saare yeh mohre!

Mohre, ban chuke saare yeh mohre!

Karna na chahe baatein, saare zinda laashein hai yeh

Kathputli bin dhaago ke hai chalte saare

Maine mann ke andar dhundhe jab khazaane

Nikla bas jhooth, ghulami ke kaabil hi reh chuke saare hai

Kaale jaadu ko ab mann mai hai paale yeh

Mohra mai, mohra mai, mohra tu, mohro pe mohar lagi hai naadani ki

Galti hamari, hum karte ghulami, sar-aakhon hai rakhte yeh baatein madaari ki

Naachein ishaaro pe, itne hai saal guzare iss bandhan mai

Ginti khatam hui meri sitaaron ki

Kitne hazaaron mai hoge inn sapno ki laashein

Jalaade, par kaise, na koi aulad jo chita jalade

Kuch ko toh zinda hi gaadhe, par tujhko na fark padega?

Kahega ki maine bhi di hai sapno ki kurbaani

Par aaj aaram haram aur paisa aur gaadi

Aur jebein na khali, aur ladkiyan saari

Hai meri deewani. Kaise ayega tu pul ke iss paar?

Aiyashi ke sheeshe mai khudko ubhaarkar

Aatma kho di tune sab kuch hai paakar

Kholo aakhe, bhaago, kyuki

Yaha par aakh bhi ladai toh fir aag si ladai

Jala kar raakh karte woh ban jayenge harjayee

Aaj andhere mai hai hone waali saari yeh tabahi

Din mai hum uthaye laashein, mar chuki hai begunahi

GRRRAV!

2+ million lyrics

Songs in different languages

Translations

High-quality translations into all languages

Quick search

Find the texts you need in seconds