Kaisa Yeh Sawaal? - Gravity

Kaisa Yeh Sawaal? - Gravity

Альбом
Prashna Chinha
Год
2018
Язык
`Swahili`
Длительность
171120

Below is the lyrics of the song Kaisa Yeh Sawaal? , artist - Gravity with translation

Lyrics " Kaisa Yeh Sawaal? "

Original text with translation

Kaisa Yeh Sawaal?

Gravity

Pralay, zindagi ka atal satya hai

Ashakya hai, rahasya hai

Dharti aur prakriti ka jashna hai

Pralay paheli, yeh prashna hai

Zindagi ka atal satya hai

Ashakya hai, rahasya hai

Dharti aur prakriti ka jashna hai

Pralay paheli, yeh prashna hai

Sawaal, jawaab? Sawaal, jawaab? Kaisa sawaal yeh?

Sawaal, jawaab? Sawaal, jawaab? Kaisa sawaal yeh? (x2)

Jaane anjaane mai khud ki tabahi, aur khudka kasoor

Khudke ilahi hai bante fir khudpe hai karte ghuroor

Khud hi banate yeh niyam, fir khud hai yeh tode usool

Karte hai pyaar khudse fir khudko na karte qabool!

Aa fir, yeh aatish ab kar dega sabko tabah

Yeh aakhir mai tujhko hi dega daba

Yeh maahir hai karne mai sabko gumrah

Yeh kaafir par khudko na yeh kho chuka

Zinda hu par aatma yeh bojh hai

Parmaatma ke dhong par yeh naachte har roz hai

Bimaar hai yeh log, saare khaaste, kharochte

Yeh raaste marod apne aap ko dabojte

Mrityu jakad ki pakad mai hai prtihvi

Sabke akkad ke hi jadd se hai nikli

Ek se ek, anek vivaad hai, kuch na karo toh astitva barbaad hai

Jivan shatranj ka sheh aur maat hai

Yoni se nikle uss putra ka shraap hai

Jiske nasib mai paap hi paap hai

Hai toh garibi na koi baap hai

Sawaal, jawaab? Sawaal, jawaab? Kaisa sawaal yeh?

Sawaal, jawaab? Sawaal, jawaab? Kaisa sawaal yeh?

Utaar naqaab, utaar naqaab, hai kaisa samaaj yeh?

Utaar naqaab, utaar naqaab, hai kaisa samaaj yeh?

2+ million lyrics

Songs in different languages

Translations

High-quality translations into all languages

Quick search

Find the texts you need in seconds