Below is the lyrics of the song Jaane Kya Dhoondta Hai , artist - Lucky Ali with translation
Original text with translation
Lucky Ali
Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil
Tujhko kya chaahiye zindagi
(Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil
Tujhko kya chaahiye zindagi) — 2
Raaste hi raaste hain, kaisa hai yeh safar
Dhoondti hain jisko nazrein, jaane hai voh kidhar
(Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil
Tujhko kya chaahiye zindagi) — 2
Bechehra sa koi sapna hai voh
Kahin nahin hai phir bhi apna hai voh
Aise mere andar shaamil hai voh
Main hoon behta dariya, saahil hai voh
Hai kahan voh, voh kidhar hai, raaste kuch to bata
Kaun sa uska nagar hai, rehguzar kuch to bata
Dhoondti hain jisko nazrein, jaane hai voh kidhar
(Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil
Tujhko kya chaahiye zindagi) — 2
Soona sa hai mandir, moorat nahin
Khaali hai aaina, soorat nahin
Jeene ka jeevan mein kaaran to ho Maheke kaise kaliyaan, gulshan to ho Shamma hai jo mujh mein roshan, voh viraasat kisko doon
Door tak koi nahin hai, apni chaahat kisko doon
Dhoondti hain jisko nazrein, jaane hai voh kidhar
(Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil
Tujhko kya chaahiye zindagi) — 2
Songs in different languages
High-quality translations into all languages
Find the texts you need in seconds